🔥Fire Jump🔥

 Nahi abhi toh blogging end nahi ki maine.. Bas kitkat khaake break liya tha😂

So title se pata hi chal gaya hoga ki aaj ka topic kya hai... Fire jump... So yeh baar hai 4 saal purani jab me 3rd ya 4th me tha.. Aur apne school ke assembly ground me principle ki speech pure joro par thi.. Pure school me sports day ki hi charcha thi jo sirf ek hafte pe tha.. So ma'am apna speech jaari rakh rahi thi par mere man me kuch aur hi chal rha tha... Dusk till dawn ke background music me mai soch raha tha ki aaj kuch tufani karte hai... So jaisa maine socha tha kuch vaisa hi karne ki koshish maine ki.. Taekwondo me hamara dance joro par tha (believe me mujhe pure duniya me sirf wahi dance achha lagta hai) aur me dekha ki kuch bade bachhe fire jump karne wale hai.. Me bahut intrested tha isme but tushar sir ke age kiski chale.. Bole"bahut chota hai"... Ab muh banane ke alawa kar bhi kya sakta tha... Fir woh saal aur sports day beet gaya... Then abh aaya 6th...iss saal bhi sorts day tha and is saal mai ne man bana liya tha ki fire jump me hi karunga.. Aur us saal bhi woh purana wala dance tha par chote bachho ko.. Memories taaza ho gayi... Aur ham "We will rock u" ke background me ek dusra dance kar rahe the.. Maine sir ko bola ki mai bhi karunga fire jump and sir man gaye... Abh hamne uss loop me se kaafi baar jump kiya tha.. Dar bhi nikal gaya tha par sirf tabtak jab tak asli aag nahi aayi.... So sports day ke ek din pehle ham school me 4 baje tak ruke and uss ring me aag laga di.. But a point to be noted here is aag lagane se just pehele wali practice me mere peeth ko buri tarah laga tha and mujhe me bilkul confidence nahi tha karne ka and mere samne us ring par aag laga di.. Aas paas dekha toh fire extinguisher ka naamo nishaan nahi.. Aur usse badi baat... Line height wise thi and sabse samne tha me....!!!!...Kudne se pehle sabse ham log yahi baat kar rahe the...,"Zinda bache toh milenge..byee"..dar tha ki kahi zindagi ka aakhiri bye na ho...par kudna to tha hi kyunki dil keh raha tha..."Aaj kuch toofani karte hai"...Kuch dar bhari lambi saanso baad me bhaaga.. Bhaaga aur samay aane par kuda gaya aur aankhen band kar di.. 2 minute baad pata chala ki me zinda hu.. Ek bhi burn nahi.. Fir confidence aaya aur fir me fire jumps maje se karne laga.. And on the final day bahut maja aaya and that was the highlight of the whole show and i was proud to complete my dream... So agar aapki bhi aise koi story ho jisme aapne himmat ka adbhut pradarshan kiya ho toh comment 👇👇.... Thanks u

Comments

  1. 😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂✌️✌️✌️✌️

    ReplyDelete

Post a Comment